by Kulcha Hyderabadi » Sun Sep 21, 2003 9:29 am
Shukriya Hamdam bhai. Shadiyon ka season hai aur bitter half (haan, bitter not better) apney maaikey gayee huvee hain. Ek do din to bada accha laga, khoob awara gardi rahi, yaar doston ke saath gulcharrey udatey rahey, lekin ab, ghar kaatney ko doudta hai. To phir ho jaye kuch \'FIRAAQ\' per. Kya khayal hai sab ka?