by Radha » Mon Sep 08, 2003 9:35 pm
Sab hyderabadiyon ki nazar:

Ek arsa hua hai us sahar se guzre hue,

Raat arse se har ek shaam ke baad aati hai,

Jis jagah humne guzaara tha wo bachpan apna,

Aaj bhi humko usi sahar ki yaad aati hai,

Wo Charminar ki jiski haseen sadkon par,

Phirtey they maare maare kabhi hum din bhar,

Ladbazaar wo ki jiska zikra chhidte hi,

Jhhom uthta tha humaare gharon ka har patthar,

Wo Madina, wo Afzalganj, Qila Khilwat ka,

Wo sadkein shaher ki jahan thi mai khela,

Wo Abids, wo Mehdipatnam, wo Nampally,

Aur dargaon pey itwaar ka bada mela,

Wo Baag-ai-aam wahan jiska naam sunte hi,

Kisi ke aane ki aahat sunai deti thi,

Wahin par paas hi to thi badi unchi building,

Jahan se shahar ki raunak dikhai deti thi,

Wo Malakpet ki bani puraani sadak,

Jahan ki raatein sitaaron mein doob jaati thin,

Wo Abids ka baazaar janhan sunte hain,

Nai shaamein thi nayi aag khoob aati thi,

Wo first Lancer jispar ek puraana ghar,

Achaar waali gali ki mahak ka wo manzar,

Wo Darulshifa stop ki jisse zara sa aage tha,

Kisi buzruq ki mazaar ka patthar,

Charminar se lagti azeem wo Masjid,

Jahan Allah se hum seedhe baat karte the,

Wo Charkaman aur woh laal darwaza,

Baithkar jispe wahan din ko raat karte the,

Wo school ki jiski badi deewaron par

Nishan aaj bhi kayam hain us jawaani ke,

Jis ko soch kar aaj bhi hum rote hai

Ye hain panne usi bhooli hui kahani ke,

Wo L.B. shastri ji ke naam ka bada maidaan,

Jahan par bade log khelne ko jaate the,

Usi ke peechhe hi to tha nobath pahaad,

Jahan se dharti aur aakash nazar aate the,

Wo ghaat Hussain Sagar ka jiski goad mein aakar,

Kisi key doobte din ko salaam karte the,

Wo Musi Nadi jo sada khaamosh behti rehti thi,

Sab apna apna wahan intzaam karte the,

Chiken ka kurta ho, ya ho biryani Niagra ki ,

Hameedi ki methai ho ya Tajmahal ki Poori,

Hum ghirtey padthey par poori naap lete the,

Shahar ke is taraf se us taraf ki doori,

Haya jo ladkiyon mein aaj talak kayam hai,

Nasha jo aaj bhi sadkon pe behta rehta hai,

Wokhushbuein alag alag tarah ki udti hain,

Wo lehza aam ko jo khaas kehta rehta hai,

Shahar ke ek taraf dekho to ye lagta hai,

Siyasaton nein apna haath badha rakha hai,

Nazar jo dooji or karte hain to paate hain,

Pyar nein pyar ko parwaan chhada rakha hai,

Wo nazaqat wo nafasat wo taqualluf yaron,

Jo kitaabon mein kahin tumne bhi padha hoga,

Wahan ki galiyon mein sab aaj bhi muhaafiz hai,

Waqt bhi pehle aap kehke hi badha hoga,

Koi kavita koi ghazal ya koi geet kabhi,

Bayan us shahar ka har rang nahin kar sakta,

Wahan ki baat hi kuch aur hai chalo chhodo,

Dilon se dil ke liye jang nahin kar sakta,

Wo Hyderabad hai jahan aaj bhi chand aur Sooraj,

Har ek raah ko jhuk kar salaam karte hain,

Wahan ke dhang aur zabaan sab niraale hain,

Hum apna kisaa yahin par tamaam karte hain,

Magar itni si baat humko aur bataani hai,

Kabhi subah to kabhi shaam ke baad aati hai,

Jis jagah humne guzaara tha wo bachpan apna,

Aaj bhi humko usi sahar ki yaad aati hai.