by shaikh » Tue Aug 19, 2003 5:57 pm
bhai marduwe saab aur BM bhai,

ek guzarish yeh hai ke jaisa hum khana khane se pehle khane ke adabb jaante hain, maslan \'haath dhoke khao, Allah ke naam se shuru karo, sidhe haath se khao, baad mein Alahamdulillah bolo waghaira\'

toh issi tarha say Mehfil kay bhi adaab hain bhai, aur hyderabad ki tehzeeb mein adaab ki bohot ahmiat hai. toh mai samajhta hoon kay iss board mein bhi agar hum kuch adaab ki riyayat karinge toh munaasib rahinga, baaz log iss mein aakar baap ka naam, agey khala, arrey turre, yeh humari hyderabadi tehzeeb say bahar hai.

meri sincere guzarish ye hai kay zaroor mazay mazay ki hyderbadi baat karo magar adaab ka khyaal rakho.

agar maa bhain karna hai toh phir ek alag board shuru karna padinga, jo log mere baap ka naam liye hain main unku bohot acchhi taarikhay se jawaab day saktaon, aap logon ku maloom hona chahiye...