Saturday, 7 February 2026 »  Login
in

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by khajabi » Thu Jul 18, 2002 10:11 pm

khush AM\'beed jaaniii, hummm budde loogoun kaa mazaaakh nahi udate, unki izzat aur ehtaraam karte hain... wooh to hyd ke atraaf ke loog hote hain jo is tarhha ki harkaat karte hai... ghabrao nahi jaaniii, shoroo main hum bhi do-teen ghoute khaye magar haar nahi mani, tum bi a\'hista a\'hista seekh jao ge... samjhe. LOL kidding.
khajabi
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Thu Jul 18, 2002 10:31 pm

Khushamadeed Jani bhai, Kya Jani bhai aap hum logon ko itta niche gira diye na. Bhoot afsoos hua dekho apki baat sunke. Hum sab yek shaher ke bache hain, kitte bhi bade hue tu kya hua bache tu Hyderabad kech hain na. Aap roz yan aao aur dilchaspi se likha karo, hum sab bhoot khush honge dekho.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Thu Jul 18, 2002 10:33 pm

Bilkul Bhaimiyan aapka haq banta hai.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Thu Jul 18, 2002 10:38 pm

Shaad bhoot bhoot shukriya aapka. ab yeh baat ko dil se nikal ko phenk deo hor main bhi phaink di. Pasha aap kaan tu bhi rahtain? Hyd main ya kain aur? Khair kuchh farq nain padhta aap apne Hyderabadi bhaich hain kain bhi rahe tu kya.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Thu Jul 18, 2002 10:48 pm

Kulcha aur Bhaimiyan ASAK, main bhi thoda paisa rakhai thi voh Charminar bank main magar jaisich suni dousre co-operative bankan band horain bolko main fouran vaan se paisa nikal li dekho. mere chicha bhoot bole magar nain suni. Oupar valla bachaya mereko. Bhoot se logan barbad hogaye dekh ke bhoot dukh hua. ab aap logan yeh batao ke Hyd main achha return aane ke vaste kaan par invest karna? yeh bankan sab chor logon ke hain. shaher se door zameenan khareede to pahelvanan khabza karlerain. Ghar leko kiraye pu chadhaye tu kiraydaran khabza karlaitain. Ab kya tu bhi karna nain malum. Aap logan kuchh achha idea diye tu achha hai.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by ShaadAabaad » Fri Jul 19, 2002 12:38 am

Aadaab,
aap sab logon ka pyaar dekh ke bhot accha lagra....Hau mein hyd kaa hoon, filhaal yainch hoon thode din ke baad dubai jarun..aap sab logon ke baatan dekhke mere ku bhi likhna ku jee bola...I love HYD and all things HYD...Allah aap sab ku accha rakhe.....
ShaadAabaad
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by hina » Fri Jul 19, 2002 1:40 am

ASAK, sob ku!Jaani bhai,Welcome.YEh aadi urdu aadi english kya karingay na idhar kay na udhar kay.Saira kyaa karoon nainsaafi to hai magar karna padta ,aap bolay waisa hamaray shohar ku bi puranay picturaan bhoth pasand, baath karay ki mera saaya, meray huzoor, meray mehboob dekhingay boltay saath mein gungunay bi lagjaatay, bacchay sob milkay hansi udatay aur boltay baba please ab gao nakko. Bacchon ku bula kay boltay yeh dekho dekhnay kay picturaan hain aaj kal kay kyaa hai siwaay nangay panay kay kuch bi nai, magar aal kal kay bacchon ko woh kahan say pasand aatay, bawa adam kay zamanay kay samajhtay hamaray ku.Ab meray ku bi pehlay kay waisa interest nai raha magar mein Pakistani serials bhoth dekhtiyoon, bhoth saaf suthray rehtay poora qaandaan saath baithko dekhay waisa .Aji bhaimiya yeh shahed bhai kaan to bi rehgaye, fikr ho ri dkho aap meray ku zara maloom karo aap unkay baaray mein.accha aur ek baath mein do teen din kay liye chutti par ja rahi hoon wapas akar phir miloongi, jab tak kay liye allah hafiz.
hina
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhirr Ustaad » Fri Jul 19, 2002 5:12 am

Hina aapa Shahed bhai sharma ke nai aaraiN , uno khwahishoun ke paudhoun ku paani deney iStanley Kaalej ke paas gaye they chapel road pey to Crime branch waaley aakey pakad ko lejaakey tapeli kardiyey.tawwey ke nicchey ki kaalik sar po mal ke aatey bolrey they....LOL
Bhirr Ustaad
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Radha » Fri Jul 19, 2002 8:24 pm

Bhaiyo aur beheno, Kise ne hamey yaad nahi kiya, Khair koi baat nahi, shayed hum is qaabil nahi hai.
Woh baney thay merey jo humsafar wohi chal diye mujhey chor keh,
MaiN jahaN se aaya hooN ghamzada, mujhey phir waheen se sadaa na do,

Is zindagi ki shaam ka, mujhey dar tha is anjaam ka,
mujhey aik ansoo ki tarah kaheen aankh se tum giraa na do ,
Radha
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Sat Jul 20, 2002 12:10 am

Radha, Welcome ..aap mera 17th July ka message padho main apko yaad kari thi. ab dousre logan gadbad main bhool gaye honge. ab aap ko yeh addah malumich hogaya na ab aap bhi apna dera yaan jama leu, koon ukhadta dekhlinge.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Sat Jul 20, 2002 2:23 pm

Jaani bhai ko Bhaimiya ka salam. Jaani bhai aap Hyderabad.com chat room key Jaani bhai Ishmat aur mr.franky toh nahi hey. Agar aap wohee hein toh zara bata dijeye. Hum sab aapka fullhyd per dil wa jaan sey isteqbal kartein hein.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Sat Jul 20, 2002 2:39 pm

Saira: Aajkal sub sey accha investment hyderabad mein sirf property khareedna ka hey, khareedney key baad uskee nighranee acchi honee chachiye (wesey hifazat toh Allah karney wala hey, hum ussey duwa kartey rehna chachiye). Kiraye per dey saktey hein par deney sey pheley kirayedaron ko khub thonk baj key dekh lena chachiye, kiraya thoda kam aaya toh parwa nahee per kiraye daar shareef hona chachiye (merey jesa!lol) aur government servant hoh toh bahut accha hey.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Sat Jul 20, 2002 2:46 pm

Hina Bahen: Becharey Shahed aaj kal office mein kuch ziyada hi masroof hey, becharey ko fullhyd board per aaney key liye bilkul time nahee mil raha hey (mujhey e-mail sey bataya hey. Is week mein fareeq hoga toh phir is board per aap uska thaka huwa chera dek saktee hein. Aane per apni khahani khud sunayega.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by hina » Sun Jul 21, 2002 1:35 pm

Adaab mai agayi, mai agayi chutti mana kay.Dekho Radha bhai main hamesha pooray bhaiyon ku bolkay address kartiyoon jismay aap bi shamil hai, ab zara shahed bhai ki fikr thi kay uno ek dum ghaib ho gaye magar bhaimiya bolrain na uno bhoth kaam mein musroof hai bolkay to sahich hoonga.Haan to saira weekend pay hamaray doolay bhai aur bacchon mein aap busy hongay, chalo baad mein batana kya pakaye kya khai aur konsay picturaan dekhay.Bhirr bhai kay nazmaan to bhoth acchay hai magar mein ismay participate nahi kar sakti likhna nai aata qaali padletay aur qush ho jaatay.
hina
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Sun Jul 21, 2002 8:53 pm

Bahut dinno sey Mr. LID nazer nahee aaye, kya khafa hey hum sabsey.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Faheem » Mon Jul 22, 2002 1:41 am

Assalam Alaikum All
Hina didi, to aap logon ne Reno se Naz cinema tak drive ki picture dekhne ke liye?
Faheem
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Faheem » Mon Jul 22, 2002 5:52 am

80 West
680 South
Exit Mission or Washington?
Faheem
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by hiNa » Tue Jul 23, 2002 9:48 am

Faheem bhai ASAK, hum issay pehlay bhi bhoth baar naz cinema ku gaye kabi washington lekay jaatay kabhi mission lekay magar meray ku zyaada qareeb washington dikhta.Aap bhi lagta hai Fremont kay rehnay waalay hain.Meray ku chaat cafe wahaan ka bhoth pasand hai dekho aap. Basheer bagh ka \"Havemore\" yaad aata.
hiNa
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Faheem » Wed Jul 24, 2002 1:21 am

Hum log Fremont me 5 saal tak rahe, ab main aur meri choti se family mere walda ke saath aap se thoda aur Khareeb Folsom mein rahte hain. Folsom is 15 miles east of Sacramento on 50East. Lekin yahan fremont ki baat nahin aati, theek waise he jaise Hyd, India ke baat America mein nahi aati. Hum log sonch rahe hain ke Inshallah Saudi move hojate hain. Mere biwi ko to yahan par bilkul achha nahin lagta. Waise aap log Reno mein kaise settle ho gaye? thoda sa unusual lagta hai? kya wahan par bhi apni community hain?
Faheem
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Wed Jul 24, 2002 4:38 pm

Faheeb bhai Saudi aaney per humsey contact zaroor karna, badee khushee hogee aapsey milkey.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Wed Jul 24, 2002 10:04 pm

Oh out of 45 messages 13 messages are from my side. I think now time comes for me to stop sending messages, otherwise sub key dhapey merey sir pey padiengey aur woh dhapon ki badolat Allah key fazal sey jo merey sir pey purey key purey ball hein no do gayarah (9-2-11) ho jayeingey. Toh bhaiyo aur beihno aab mein dusron ki tarah in bulletin boards per kam hissa liya karoonga.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by hina » Sat Jul 27, 2002 5:03 am

Adaab Bhaimiya, aray aap aaisa ghazab nakko karo bhaii.Meri zara majboori thi bolkay mai board pay nai aari thi.Aap logon ku boli thi na mai bhai ki parayshaani chal ri bolkay usmay lagi huwi thi aur aap sob ki duwa say moujayzaa ho gaya sob theek ho gaya.main ab board pay aaongi. Saira aur shahed bhai kahan hai.
hina
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Sat Jul 27, 2002 4:05 pm

Hina bahen: Mein apna wada tod kar sir aur sir aapko mubarakbad deney key liye hazir huwa hoon aapke bhai key case khatam honey ki khushi mein. Bahut bahut mubarak ho aapko, aapkey bhai ko aur sab family members ko.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Mon Jul 29, 2002 10:35 pm

Aadab, Hina main bhi yahinch hun bus zara shadiyan attend karrai thi. ab kal valima hogaya aur main free hogai. Yeh garmion main shadiyan bhot hotain yaan. Hina aap apna no. nain derain thik hai, mainch apna email ID derion....... math_tutors2002@yahoo.com. Bhaimiyan, bhabijaan kaise hain. mera salam zaroor pohnchadijiye unko. bhai aaplogan koi chat room dhundo. Yeh messages oupar niche scroll karte karte dimagh ghoom jata phir kya likhna samjh main nain aata LOL. Sab bhaion aur bahnon ko mera salam.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Mon Jul 29, 2002 10:36 pm

Aadab, Hina main bhi yahinch hun bus zara shadiyan attend karrai thi. ab kal valima hogaya aur main free hogai. Yeh garmion main shadiyan bhot hotain yaan. Hina aap apna no. nain derain thik hai, mainch apna email ID derion....... math_tutors2002@yahoo.com. Bhaimiyan, bhabijaan kaise hain. mera salam zaroor pohnchadijiye unko. bhai aaplogan koi chat room dhundo. Yeh messages oupar niche scroll karte karte dimagh ghoom jata phir kya likhna samjh main nain aata LOL. Sab bhaion aur bahnon ko mera salam.
Saira
Guest
 

PreviousNext      

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 4 guests

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
http://www.yellowpages.com.iq/contact-us-erbil.php rediffmail.com
Hyderabad mein mat kaha par Milti
wo mera china meri nadnda muje lota do
hashee ke tanka
hyde hyde khol batan meri
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.