by hina » Fri Jul 19, 2002 1:40 am
ASAK, sob ku!Jaani bhai,Welcome.YEh aadi urdu aadi english kya karingay na idhar kay na udhar kay.Saira kyaa karoon nainsaafi to hai magar karna padta ,aap bolay waisa hamaray shohar ku bi puranay picturaan bhoth pasand, baath karay ki mera saaya, meray huzoor, meray mehboob dekhingay boltay saath mein gungunay bi lagjaatay, bacchay sob milkay hansi udatay aur boltay baba please ab gao nakko. Bacchon ku bula kay boltay yeh dekho dekhnay kay picturaan hain aaj kal kay kyaa hai siwaay nangay panay kay kuch bi nai, magar aal kal kay bacchon ko woh kahan say pasand aatay, bawa adam kay zamanay kay samajhtay hamaray ku.Ab meray ku bi pehlay kay waisa interest nai raha magar mein Pakistani serials bhoth dekhtiyoon, bhoth saaf suthray rehtay poora qaandaan saath baithko dekhay waisa .Aji bhaimiya yeh shahed bhai kaan to bi rehgaye, fikr ho ri dkho aap meray ku zara maloom karo aap unkay baaray mein.accha aur ek baath mein do teen din kay liye chutti par ja rahi hoon wapas akar phir miloongi, jab tak kay liye allah hafiz.