by hina » Wed Jul 17, 2002 9:54 am
Sob ku mera adaab, Kitta accha dikhra sob ku ek saath dekh kay.Sob say pehlay Kulcha bhai ku jawab detiyoon,yeh maqbool nai hai balkay PIA walay Khaja Freedudin hain jo Hyderabad kay PIA may 15 saal say manager they, uno Dammam may bhi rehkay aaye so hain. Thanks fot the help I will give him the number.Aur kya boloon Devdas hum bhi dekhay chaar ghantay gaadi chala kay FREMONT, CA , ku jaakay.Picture say zyaada theatre kay paas ka mahowl bhoth accha tha , SAT. night thi aur aaisa dikha kay maheshwari ki line mein khaday huway hain. Theatre kay andar zoron pay gaanay chal rahay they, samosay, chai aur mitha paan bi mil ra tha.Bhoth accha dikha, magar saira hamaray shohar ku hindi picturaan nai pasand ji,chalo bolay ki ladai hoti, magar koi bi English picture ku tayyar rehtay. Devdas acchiich thi Zevar-Kapda aur ASH dekhnay kay qabil, chalo acchaich huwa ino nai gaye so.....lol Magar kal zabardasti bitha kay Humraaz dikhayi,har thodi dair ku bol rai they abhi qatm nai huwi magar qamushi say dekh to liye baad may mai sonchi aain kain amisha kay waastay to nai dekhay? phir sonchli dekhay to kya unay mil jaati haqeeqat to mainch hoon....Shahed bhai aap fikar nakko karo mai aur saira mil kay aap kay waastay Ash say zyaada qoobsurat dhoondigay bhaizara aap wapas to aao board pay!