Saturday, 7 February 2026 »  Login
in

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by HiNa » Tue Jul 16, 2002 7:53 am

Sabhi bhaiyon aur behno ko Hina ka adaab, Kyaa baath hai bhaee sob logan board pay say ghayeb hain. Kyaa aur koi accha board mil gaya yaa is board say bore ho gaye. Yeh kyaa har thoday-thoday dino ku aap log ghayeb ho jaatay.Shahed bhai kya shaadi karnay kay liye gaye huway hain kyaa, bhaimiya bi nazar nai aarain.Aray wapas aao bhai phir say shahed bhai kay l;iye dholak kay geethaan gaingay.Aur ek sawaal kulcha bhai kay liye hai. Meray qala zaad bhai nay jo 15 yrs say PIA mein kaam kartay they apni qud ki travel agency kholi hai hyderabad mein chapel road par.I want to help him establish his business how do we advertise on the internet for that ?
HiNa
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Kulcha Hyderabadi » Tue Jul 16, 2002 10:06 am

Hina Didi, Aadaab. Main to yainch hoon, magar apni qoum laapatha ho gayee hai. Shahed ka bhi bukhar kuch thanda hogaya lagta hai! Sab milkar aise aise ashaar aur jokes likhe shadi shuda logon ke barey mein ke bechara apna yaar zara saham gaya. Bhaimiya aj kal cricketers ke peechey padey huve hain, Bhirr Ustaad koyee nayee nazm likh rahey hongey, Khajabi aur Ucchu Miyan dono laapatha hai. Now about your cousin, could he be Maqbool, who used to work in Al-Khobar long time back and is the nephew of Rasheed Turabi?? Agar yehi hai to phir Didi, hamey bhi apne khalazaad bhaiyon mein shamil karlijeeye! lol. I heard Associate Advertisers who have their offices in Babu Khan Estate do a pretty good job of placing ads on the internet. Telephone number 3231089.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Tue Jul 16, 2002 1:59 pm

Bhaimiya ka sab bhaiyon aur behno ko salam: Hina Bahen aur Kulcha Bhai main bhee yainch hoon, thodee thodee der sey jhank ron per koyee bhee nahi hey sab lapata hey, beychara Shahed zara office key kaam mein ziyadiech busy hey, 2 - 3 din mein free hoga toh dhum dhadakey sey board per wapis aaegea shadi ki shenaieyon key saat. Bhirr Ustaad, Khajabi aur Ucchu Mian ka koyee pata nahee (ghar waleeyan board per aaney sey mana kardeeien shayed!lol).
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Udhas » Tue Jul 16, 2002 9:58 pm

Meree tarah Bulletin Boards per bhi udhasi chahee huwee hey. Mujhey pata hey yeh message moderator delete kar dega, he don\'t like anyone to say that the boards are dull now a days.
Udhas
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Wed Jul 17, 2002 12:05 am

Aaadab meri bahno aur bhaio, Mere ko bhi aplogon ki bhoot yaad aarai thi itte dinon se magar yeh har board main ja ja ke dhundna bole tu jaan pe aata. Ab yek board aisa banana jis main hum logan mile jaisa aur dousre boardan main dousre bataan kare jaisa. Kaisa khayal hai mera aap logan bataye tu achha tha. Hina main munne ke abba ke saath ja ko Devdas dekhi dekho parsoooooon. Bhoot achhi picture hai. Aap logan sab dekho isko. ( inon sirf SRK ko dekhte dekho, Ash ko bilkul nain dekhe…shareef aadmi hain apke bhanoi) LOLOL. Shahed bhai aap yeh picture nain dekho toch apke haq main achha rahinga dekho. Nain tu bolinge mere ko bhi vaisich dulan hona. Allah miyan yek jaise du nain banate na *cry*.Picture dekh ke aaye jab se inon office ka kaam ghar ko bhi lako kar rain, voh kaiko bole tu kaan main vaisich zevar aur sadiyon ke vaste zid kartiun samajhke. Inon apne apko masroof dekharain. Main bhi intezar mainch hun jaisich inka kaam khatam hoinga farmaishan shur kardungi. Bakre ki maan kab tak ka khair manayegi LOLOL. Haan to Hina aap hamare padosi hain na magar aap se baat kaisa karna sonchriun main. Koi tareqa batao aapich. Meri taraf se Radha, Bhirr Ustad, Kulcha, Khajabi, Bhaimiyan aur unki bhabhijaan. Oops unki nahin meri bhabijaan, Udhas, Bachelor Shahed bhai aur sab bahnon aur bhaion aur bhabion ko mera salaam.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by khajabi » Wed Jul 17, 2002 5:11 am

ASAK, yakhin manye yeh board pe EID ke salama chal rain jaisa dikhra bus uth\'ke gale milna bakhi hai, aur kaafi dinoun ke baad sub ekja hoa jaisa lagra.... hina di ki pukaar main bhoot dum hai. khuda ke liye mujhe koi ye bataye ye LOLOL kiya hai (donoun haat upar utha ke) koi apne ko dhappe nai marna bolde\'roun, nai maloom bolke pooch roun. Kahin ye bi chinese \"chao\" ki tarha to nai hai.
khajabi
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 17, 2002 7:59 am

Sob ko meri taraf sey salam.....aji khajabi LOL boleto
naimaloom awwa <br>
LOL = Lailappa of Ladbazaar
<br>LOL LOL LOL...aji Laughs out Loudly hai woh ;)
Bhirr Ustaad
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by hina » Wed Jul 17, 2002 9:54 am

Sob ku mera adaab, Kitta accha dikhra sob ku ek saath dekh kay.Sob say pehlay Kulcha bhai ku jawab detiyoon,yeh maqbool nai hai balkay PIA walay Khaja Freedudin hain jo Hyderabad kay PIA may 15 saal say manager they, uno Dammam may bhi rehkay aaye so hain. Thanks fot the help I will give him the number.Aur kya boloon Devdas hum bhi dekhay chaar ghantay gaadi chala kay FREMONT, CA , ku jaakay.Picture say zyaada theatre kay paas ka mahowl bhoth accha tha , SAT. night thi aur aaisa dikha kay maheshwari ki line mein khaday huway hain. Theatre kay andar zoron pay gaanay chal rahay they, samosay, chai aur mitha paan bi mil ra tha.Bhoth accha dikha, magar saira hamaray shohar ku hindi picturaan nai pasand ji,chalo bolay ki ladai hoti, magar koi bi English picture ku tayyar rehtay. Devdas acchiich thi Zevar-Kapda aur ASH dekhnay kay qabil, chalo acchaich huwa ino nai gaye so.....lol Magar kal zabardasti bitha kay Humraaz dikhayi,har thodi dair ku bol rai they abhi qatm nai huwi magar qamushi say dekh to liye baad may mai sonchi aain kain amisha kay waastay to nai dekhay? phir sonchli dekhay to kya unay mil jaati haqeeqat to mainch hoon....Shahed bhai aap fikar nakko karo mai aur saira mil kay aap kay waastay Ash say zyaada qoobsurat dhoondigay bhaizara aap wapas to aao board pay!
hina
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Wed Jul 17, 2002 11:58 am

Khajabi, kya bhai apku itta nain malum :-( zara bhaimiyan se class leu na aap.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Kulcha Hyderabadi » Wed Jul 17, 2002 12:52 pm

Adab Hina Didi - Accha Fareed ki baat karrain aap. I know him, I guess he worked for Ace Travel in Dammam. Tell him to explore the possibilities of taking Umrah passengers. It has good potential and he should tap the market in districts. Theek boley aap, Duley Bhai Ameesha ko dekhe to kya hota, haqeeqat to aap hi hain.....Isee wajah se ham bhi begum ko Shahrukh ki film dekhne dete, dekhe to mil jata kya un? haqeeqat to hum hi hai na! Yeh lo, LOL ka jawab ROFL, LHO, LSHMBH...... Khajabi, ROFL = Rolling on floor laughing, LHO = Laughing Head Off and LSHMBH = Laughing so hard my belly hurts! lol once again.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Wed Jul 17, 2002 2:59 pm

Yeh lo kar lo baat Saira toh mujhey bahut hi khapit samaj rahey hein, arey mein toh middle khapit hoon bhai yaani gadra jam (yaani na kacha \\
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Wed Jul 17, 2002 3:00 pm

Yeh lo kar lo baat Saira toh mujhey bahut hi khapit samaj rahey hein, arey mein toh middle khapit hoon bhai yaani gadra jam (yaani na kacha \"Shahed\" ki tarah na pakka \"Kulcha Bhai\" ki tarah) - just kidding. Wesey yeh lol, brb, btw aur wfo (waiting for you) mein bhee MSN pey chat karney seek gaiyon, warna apan bhi hyderabad key bahut badey pedal they yeh mamley mein. Wesey Mashallah yeh short forms mein bacchey badey tez hein, unsey pucho foran jawab mil jaienga tanziya hasee key saat (yeh tanziya hasee isliye key bacche samjtien bawa purey jahil hein ittee choti baat bhi nahi maloum inko) magar begum khush hojatien chalo mera shohar bahut hee shareef hey usko yeh batan naieh maloom huwey toh accha hey bolkey. Khajbi is mein sharmaney ki kya baat hey bhai yeh apni field nahee hey kya aap apni field mein tajrubekar nahi hey kya! chalo ley lo LOLOL.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Wed Jul 17, 2002 3:03 pm

Bhai yeh full message and pou (quarter) message mere galti sey post nahi huwa, yeh kuch technical problem deek raha hey, pheli dafa kiya toh quarter message post huwa toh phir back jaker post kiya toh pura message post huwa.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by ShaadAabaad » Wed Jul 17, 2002 6:17 pm

kitna accha dikhra..aaap sab logan aisi \'peevar\' hyderabadi mein baatan karrein!! Sarah aapa aur Hina aapa mere liye bhi koi acche pottiyan dekho na!!!
ShaadAabaad
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Kulcha Hyderabadi » Wed Jul 17, 2002 9:28 pm

Saira didi, aap yeh ghalat fahmi mein nakko raho ke apke woh sirf SRK ko dekhrain bolkey! SRK to sirf ek bahana hai, kahin pey nighain kahin pey nishana hai! Like mid-career crises, there is a middle-age syndrome that takes a lotta \"Bholay Bhaleys\" into a fantasy world! Ab aap ke paas koyee aisa aalaa to nahin hai ke maloom karey ke bhaijan kisku dekhrain. Aap LOL LOL boltey rah jayenge aur koyee ROFL ROFL bol bol ke lote pote hotey rahingee. Zara sambhal ke, being over confident is not always healthy! LOL
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhirr Ustaad » Wed Jul 17, 2002 10:15 pm

Salam bhaimiya, Aji Dandi maarrey Bhaimiya kya to bi hai, chataak message post karkey pau message bolrey, kamsey kam ad-pau boleto bhi koi baat thi, ....koi dukan hai kya apni jo aisii dandi marne ki aadat hai .....LOL
Bhirr Ustaad
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Wed Jul 17, 2002 11:08 pm

Bhirr Ustaad: Dukhan abhi toh nahee per hyderabad jab mustaqeel chala jayong kholney ka irada zaroor hey, toh isliye abhi sey practice kar leyron. Hyderabad pahoncheyteich hushayree key tareeqey aur tijarat key gun Kulcha Bhai sey seek loonga. Kulcha bhai wada karo seekatey na aap mereko - ya phir chal hat gur seekhney aaya bolkey dabbey sey bhaga detey - do latan markey!lol
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Thu Jul 18, 2002 1:36 am

Hina, aap hamare bhaonai ke saath ziyadati kare dekho, Devdas nain dikhae so. Ab ke aisa nain karna. Hamari yek saheli hain yaan pe. unon kya karte malum ghar main Mala Sinha, Meena Kumari aur Nanda ke filman rakhaen. Jab hum unse milne jate unon voh filman lagadetein aur jab hum logan bolte dousre lagaon tu bolte nain hamare miyan ko yehich pasandddd bus. Ab dekho yeh hushyari bhi achhi hai na. Bhaimiyan..nain nain aap achhe vastad hai bolke main boli thi aap se sikh lo. Bura nain manna dekho, humlogan vastad ki bhoot izzat kartein dekho. Kulcha....nain darte na hum, darte hote tu itti zid karke, ru ru ko inko kaiko saath leko jate picture dikhane, sahlion ke sath dekhne jati na main.HAHAHAHAHHA.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Saira » Thu Jul 18, 2002 1:38 am

Shaad saab, ladkiyon ki izzat karna na, aisi beizzati achhin nain lagti na.
Saira
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Thu Jul 18, 2002 2:17 pm

Loh dekho aaj sab phir gayeb siwaye mere aur saira key. Sab bar bar dummey mar rahe hein tanka katna padeinga. Mein bhi bar bar isliye jhank leton boardon per nai toh hamaree company tanka kat letee yeh bolker key internet kyon nee khola terra kam hee internet kholkey bhetna hey office mein!lol. Kain apney dosrey board key satiyan meree tarah office mein din bhar internet khol key bhaitingey to company kam nahi hey kya din bhar internet pey rehta bolkey company sey pattaiech kaat deengey (I mean kick-out from the company). Saira mein kyon bhura manonga aapney mujhey itna bada rutba diya hey ustaad ka, mager yeh Bhirr Ustaad khafa hojayengey na, kyon key unho hey ustaad!lol.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by ShaadAabaad » Thu Jul 18, 2002 2:28 pm

Aadaab,
Allah ke fazl se mohtermaon ki izzat karna aata mereku..but keeping with the flavor (HYD adjectives) in the discussion board i decided to use \"pottiyan.\" By no means was it meant to refer to females derogatorily. However, if it has hurt sentiments of the ladies, then I duly apologise. Naacheez maafi ki darkhwast karta hain......
ShaadAabaad
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Kulcha Hyderabadi » Thu Jul 18, 2002 2:52 pm

Aao bhaimiya aao... khush amaadeed.. Khoob guzregi jab mil bhaitenge dewaane do! Ek ishkool dalinge... residential iskhool...dhanda mast mast hai.. magar zara potli badi hona. Lekin ek advise, apni marzi se kabhi nai aana! jab tak akhri riyal hai, kamaa lena.. Hyderabad kain bhi nai bhag jara...ap bees saal ke baad bhi aaye to woich hyderabad rahinga. Waan ki naukri ku laat marko nakko aao! bhot logan yaan po aaye aur galli galli thokaran khaarain.. Koyee Sayeed bhai (Al Falah) ke haathon lut gaya to koyee Charminar Bank ke zariyeh road pey agaya.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Thu Jul 18, 2002 2:56 pm

ShaadAabaad: Theek hey theek hey is dafey aapko maaf kiya jata hey, aaienda ahtiyat kijeye (Saira: Aapney mujhey ustaad banaya isliye mein apney powers ka istmal katey huwey ShaadAabaad ko maf kar diya)!lol.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by Bhaimiya » Thu Jul 18, 2002 3:19 pm

Sahee boley Kulcha bhai, agla gheera pichla hushaar aur ek baar tohker lagee toh phir sambal key chalna chachiye, agarchey key choti ho key badi tohkar ho aadmi ko sambal jana chachiye (apney ko ek bar choti thokar lag chucki hey Kohinoor Cement key zariye), yeh Sayeed bhai (Al Falah) aur Charminar Bank ka mamila bahuton ko ham samjaye per koyee nahi samja, aaj pashtaran bejarey, Allah un logon key hal pey rahem karey (aameen). Kulcha bhai yahan sey apney ko laat markey nikaley tak jana nahi hey, Allah jo hum ko yahan izzat diya and aur jo doulat sey nawaza hey Malik ka lakh lakh shukr hey warna hum kis khabil hein.
Bhaimiya
Guest
 

Kahaan hai bhai sob bhaiyaan?

by jaani bhai » Thu Jul 18, 2002 7:58 pm

sob bhaiyoun aur behnoun ku jani bhai aadaab araz karta hai,khubool keejiye. dilidil mein mai aap logoun se itta muthassir houn kya bataoun,mouinch nai khol saka aaj tak. baat darasal ye hai ki merekoo shuroosaich sunne ki aadat zyada aur bolney ki aadat kam hai,aur ab buddati waqat kya bolounga ? bolato aap sob lounga milkey hansi udayinge,hai na ? lol wol nai karey to kabi kabi kuch bolneki koshish karounga,,,,,,, ok pals !!
jaani bhai
Guest
 

Next         

Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
http://www.yellowpages.com.iq/contact-us-erbil.php rediffmail.com
Hyderabad mein mat kaha par Milti
wo mera china meri nadnda muje lota do
hashee ke tanka
hyde hyde khol batan meri
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.