by Bhirr Ustaad » Mon Jul 01, 2002 12:30 am
Salaam Radha bibi,
Aapka Kalaam pasanad aaya, waisey to mai khud seekh raha hoon, to aapko bhi salaah doonga ke aap apney kalaam mein wazan ka thoda khayaal rakhein, Issey padhney mein kalaam balanced aur rhythmic lagta hai.

Urdu Shayeri ka pehla sabaq --Behr ka hota hai, yaani meter
ka -- sher ke do misrey aur poori ghazal meter mein ho to mazahiya ho ya kuch aur ghazal, ghazal kehlaati hai thodi si liberty lekey aapkey kalaam mein kuch changes kiye haiN, ummeed hai ke aap mind nahin karengi

Yeh Daaktaran mereku behaal karko choRhe

meri jaan bachaye lekin kangaal karko choRhe

Osmania key andar, kaikaa ilaaj bawaa

Bas cheer phaad karko bangaal karko chode

Chaadar ke waisa poora saabit tha badan meraa

ajee kaat chaant karko tuwwal karko chode

Duley ki apni pehley Biryani thi mai Khaala

Mereku ku phikki seeti ab daal karko chode

goliyaan khilaako kaaley araQaaN pila ko neelay

Merey saanwley badan ku ab laal karko chode
....Aajiz