Yaaroon woh bhi ek zamaana tha jab apan doston ke saath dusron ke shaadiyon mein ghus jaatey they. Dinner table ke nazdeek seating liya kartey they, dusrey logan stage ghoora karte they, apan Chaliye bolne ki awaz suna kartey they. Aajh jeb main paisa hai lekin na wo Hyderabad raha na hum rahey.
Khair mai ek choti moti list banaron jidhar sab logan Hyderabad ku wapas jaaney wale khaasaktey, mere hisaab se yeh hotalan bhout achey hai abhi bhi, aap logan aur batao zara kuch bakhi hai toh.
Amfah hotel ki kalyani biryani, Iqbal hotel ki chai, Alhamdulillah ki haleem, lateef ka paaya, tolichowki ki broast, paradise ke currypuffs, meraj hotal ka mittha paan, maharaja ki kaju ki pakoodi, hameedi ka jaozi halwa aur badam ki jaali, agrawala ka petha, patthar ka gosht exhibition mein, shaadab ka dum ka gosht, famous ki tutty fruity, gokul ke chaat, karachi bakery ke fruit biscuit, universal bakery ka cake, mozamjahi market ke aam, dar us salaam ke bhuttey, raithu bazar ki tarkaari, tankbund ki murral macchi.
Baakhi bachey aap logan add kardo.