by Kulcha Hyderabadi » Tue Jun 18, 2002 12:30 am
Ucchu Miyan, Bhaimiya ki \"Daastan-e-Hasrath\" per mujhe bhi kuch yaad agaya hai, agar ijazat ho to pesh karoon. Ghazal ka unwaan hai \"Meri Tasweer\" aur yeh ek Mehboob ke ta\'suraat hain, apni Mehbooba ki shadi ke din, jo kisi aur se ho rahee hai! \"Aaj tum mujh se door jaogi, apni duniya nayee basaogi, ab kisi ajnabi ki bahon mein, apni raanaiyan lutaogi\" - \"Maine mana ke door jaogi, apni duniya nayi basaogi, phir bhi main poochta hun tum se, naqshe maazi mita bhi paogi?\" - \"Jab bhi dil se mujhe bhulaogi, dar haqeeqat fareb khaogi, din katega mere tasavvar mein, apne khwabon mein mujh ko paogi\" - \"Apne araam da shabistan mein, neend ankhon mein jab basaogi, janey kya yaad ayega tum ko, siskiyan letey huve jaag jaogi\" - \"Aadhi raaton mein jag janey ki, wajah kya hai samajh na paogi, aur phir bebasee ke aalam mein, meri tasveer tum uthaogi\" (Saba Afghani - an unpublished work)