by Shahed » Sun Jun 16, 2002 12:30 am
O mere pyaare AN-DEKHE mohabbat bhare bhaiyon aur behnon(Hina di)......Jab se ghacchuppp baith ke mai Sob ku gaur kar roun , Sob logon ki baaton mein itaa KHO gayaa.. itta asar huva mere ko ke aakhir mein mai yeich bhool gaya ke shaadi kis ki hori; Bhai itta aap logaan mera khayaal karre Dil se Salaam aur Shukriya ada kartoun mai aap sob logon ka, agar saamne hote to maare khushse ke aap logon ke hataan/pairaan tod deta...I mean....Galey Laga Leta... \'..Aap logoun ki izzat bhot badh gaye mere itte se dil mein. Aji kya bolre they bhai aap 30 ki dekhre mere liye, Marwa tain kay mere ku.meri utti umar nai hai bhai, arey kulchey mia kuch bolo yaaro tum to,aain waqat pe mu mein paan daba baith jaate..Ughaaldaan mein nikaalo woh mu mein se Ujaad. bhai kam az kam 8-10 saal kam do usmein se nai to mummy aur behnein ghar mein to kya muhaale mein gus nein nai deinge. Arey bhai koi mere se bhi pooche ke kaise dulhan chahiye, kya kya demands hai etc etc., Hain jo dekho apni haanke jaara.. Edekho apan pehleich khullam khulla bol dere sobku.. Apne ko daan/dahez mein 1 bhi paisa nai chahiye , na jode ki raqam hona..na ghode ki raqam. Unse boldo ...\'Ladki ko aap Peeli kar ke Rakho ham Laal karke le jaate \'..Saaf saaf bolroon dekho 1 paisa nahin hona- allah ka diya sob kuch hai mere paas sob meri mehnat ka hai...agar haur hona hai to maich mehnat karko kama loonga.. baazuwon mein bhoot taqat hai apne.. lekin aaj kal ke majboor maa baap aur pareshaan bhaiyon ki majboori ka faida kabhi nahin uthaaonga. Aur mai dostoun ko ye mashwaara detoun ke jo bhi chahiye khud mehnat karke kamaao doosron..ke saamne haath mat phailaao.. demands mat rakho., Warna tum, logon ki..aur khud ki nazroun mein gir jaaogey. Haan mere maamle mein shaadi ki sabhee rasumaat acchi tarah se honee chahiye yaani Manjey-Sanchak-Mehandi-Chawthi-Shaadi-Dhingaana-Jootey Chupaana-Walima-AAKESTRA- 7 Jumagian - Besan ka malida etc etc...mauj... masti...dhoom..dhadaaka.. jo jo bhi shaadi ki rasumaat hoti hai sab ki sab acchi tarah se honee chahiye.. bhai pehla aur aakhri maamla hai is liye bharpoor maze lena hai iskey. Aur eham baat ladki Neik Seerat...Khoob Soorat..Gori-Chitti...Padhi likhee..mere ku meil khaana...Tehzeeb waali.. aur badon ko izzat aur unka khayaal karne waali chahiye.. Aur mere ku mithaai aur achha khaane ka bahoot shauk hai Is liye pakwaan aur gharelu kaam kaaj mein maahir hai to phir kya baat. Yaan mai hotaloun ka kha kha ke bezaar aa gaya. Ab sob kuch kulla khulla bol diya dekho ab sob apni chaai khatam karo aur apni apni ampaala(Cycle) nikaalo aur is kaam pe fatafat lag jaao. Mai hina Di ke saath zara patthar ghaati aur laad bazaar jaake SHAAPING karke aatoun. Dulha bhai bahar bechain khade hai hamaare liye. Ek baar sab ka phir se behad shukriya AUR KHAAS KAR IS SITE FULLHYD.COM KA AUR ISKI SAARI TEAM KA... Salaam!!