by Shahed » Tue Jun 18, 2002 12:30 am
Edekho khajabi tum kab se itte chidchide ho gaye ji, jab se Chabard Chabard kar rain..khamakhaan baat ka batangad bana rain na... mai kaan apni shaadi ki baat kara ji yaan pe! Khud tou kacche dole pe baith ko Sharfu ke saath phisal bande po nikal gaye ab meri baari aayi to jaldi hai bolrain. Aur ye dekho nayee Gammatt.. hamaare bade bhaiyaan kate.. Ladki dekhne bheja tha in logon ku to yaaan nukkad pe tumaare saat baith ke manthakhaan mar-re. Halanke tumaara joke accha tha, lekin \'HANSNA\' kaan pe hai woich tum bolna bhool gaye...Aur ek baat kaan khol ke sunn lo main advance mein SOB ku daawat de diya, ab kya tumku alag se ruqqa laake doon, doosre kaamaan nai hai mere ku. Nakko baawa tumaaara pudine ka haar nakko .. Mereku aap sob logaan aake galle milke dil khol ke DUA dedena woich bhot hai. Tum pundine ka haar daalte boletou kitte logoun ke aankhaan phir jaare.. dekh rain tum. Tumaare haar ki waaste ye bhaayaan mere ku jaldi baazi mein koi ghalat patri po daal deinge...India aane ki bajai AFRICA nikal jaaooonga. Kulche mia kya yaaro shaadi mein khaali PAAN deke SATAK rain , tum ku maloom nai main paan nai khaata bolke. Daro nakko mere ku nicchey sone ki aadat hai..Jokes ka board hai to jokaan maaro yaaaro mere ku kaiku maar rai. Bade hoke tan rain . Aaan!! Abba ku bol doonga.. No hard feelings please..