accha laga aapka "net" par anna,
accha laga aapse "chat" karna,
accha laga aapko "web cam" par dekhna,
accha laga yeh "internet" ka zamana...
ek waqt tha hum "mail" ka intezaar karte thay,
aur "postman" ke na anne par udaas hote thay,
par ab "inbox" jald bhar jaati hai,
aur "extra storage" ki notice aati hai...
ab ayya hai "SMS" ka zamana,
gaya woh "windows" mein baithna,
ab hum "24/7 date" kar sakte hain,
sirf aapko "kiss" nahi kar sakte hain....
darte hai kabhi "current" na lag jaye,
darte hai kabhi "parents" ko khabar na lag jaye,
darte hai kabhi "virus" na ho jaye,
darte hai kabhi "inter-net" bandh na ho jaye..



