by Saira » Wed Feb 26, 2003 1:19 pm
Shahed bhai, Eid mubarak, pakad liye na aap hamari ghalti, chalo ab se dekhtiyun na mere se pahle koon mubarakbadian deta so. Khatta bhai yaan pe hum logan khud kuchh kaam nain karte, Khajabi, Bijaan, Malanbi..hum subko bulake kaaman lete. Voh masala peesne vali kya bole so uska naam Bijaanbi. unain khana bhi bhoot achha pakati. Aap sab logon ki davat hai yeh itvaar ko, kache gosht ki biryani, luqmi, dam ke kabab, dum ki murghi, harees, rumali roti, baghare baigan, marag, qorma,hare masale ki murghi,
chicken65, naan, qurbani ka mittha, gile firdous, trifle pudding, ande ki pudding, badam ke laoz, piste ke kheer, gajar ka halva. Allah apko salamat rakho, firni, vaghaira, vaghaira, vaghaira,.....aur akhir main mitha paan bhi. Aap logan vaqt pe aajane bhabion aur bachon ke saath.