lijiye paRhiye...
ek tha gul aur ek thi bulbul - 2
donoN chaman meN rai'hte the
hai ye kahaanii bilkul sachchii
mere Naanaa kai'hte the
ek thaa gul aur ek thi bulbul...
bulbul kuchh aise gaati thii
jaise tum baateN karti ho
vo gul aise sharmaataa tha
jaise maiN ghabraa jaataa huuN
bulbul ko maaloom nahii thaa
gul aise kyoN sharmaataa thaa
vo kia jaane us kaa naGhmaa
gul ke dil ko dhaRkaataa thaa
dil ke bhed naa aate lab pe
ye dil meN hi rai'hte the
ek thaa gul aur ek thi bulbul...
lekin aakhir dil kii baateN
aise kitne din chhupti haiN
ye vo kaliyaaN haiN jo ik din
bas kaaNTe ban ke chubhti haiN
ik din jaan liyaa bulbul ne
vo gul us kaa diivaanaa hai
tum ko pasand aayaa ho to boluN
phir aage jo afsaanaa hai
ik duuje kaa ho jaane par
vo donoN majbuur huye
un donoN ke pyaar ke qisse
gulshan meN mashhuur huye
saath jiyeNge saath mareNge
vo donoN ye kai'hte the
ek thaa gul aur ek thi bulbul...
phir ik din kii baat sunaauuN
ik saiyaad chaman meN aayaa
le gaye vo bulbul ko pakaR ke
aur diivaanaa gul murjhaayaa - 2
shaa'ir log bayaaN karte hain
aise un kii judaaii kii baateN
gaate the ye giit vo donoN
saiyaaN binaa nahiN kaTti raateN - 2
mast bahaaroN kaa mausam thaa
aaNkh se aaNsuu bai'hte the
ek thaa gul aur ek thi bulbul...
aatii thii aavaaz hameshaa
ye jhilmil jhilmil taaroN se
jis kaa naam muHabbat hai vo
kab ruktii hai diivaaroN se
ik din aah gul-o-bulbul kii
us pinjaRe se jaa Takraaii
TuuTaa pinjRaa chhuuTaa qaidii
detaa rahaa saiyaad duhaaii
rok sake naa usko mil ke
saaraa zamaana saarii Khudaaii
gul saajan ko giit sunaane
bulbul baaGh meN vaapas aaii
yaad sadaa rakhnaa ye kahaanii
chaahe jiinaa chaahe marnaa
tum bhii kisii se pyaar karo to
pyaar gul-o-bulbul saa karnaa - 4
