by Saira » Wed Sep 11, 2002 12:09 pm
Hinaaaaaaaaaaaaaaaa, welcome back. bhoot bhoot khushi hui apko yaan computer ke ouppar dekh ke. kaan tu bhi chale gaye the aap? main chor machaye shor dekhi DVD pe. picture bas aisich thi. Apke dulhe bhai maze main hain. Apko email likhne vali thi magar aap board pe dikhe nain tu khamoosh hogai thi. Ab zaroor likhungi.
Shahed, Bhaimiyan, Shadab, aur Kulcha bhai ko hamara salam. AAp logon ke yeh messages jo do tarfa kaam karte hain, pahle yeh Hyderaabd ki yaad badha dete hain, aur jab yaad bohot bechain kardeti hai tu phir yehi messages ko kuchh kum kardete hain. Donon surton main yeh\'healing touch\' ka kaam karte hainl. Ta qayamat aabad rahe mera Hyderabad.Aamen