Tammam Bhaiyoun aur bhenoun ki qidmat mey Salaam aur Aadaab,

Ghazal kisi qadar shokh hai, agar kisi ko ehteraaz ho to muaazirat.....Kalaam ke baarey meiN apney khayaalat ka zaroor izhaar kareiN
Aap sab ki hausla afzahi se hi qalam uthaney ki himmat jutaata hooN!!

Aaj pHir woh musKuraana jaan meri le gayaa

aankh sHarmaa kar milaana jaan meri le gayaa

Jaan par tha intezaar-e-yaar to bHaari bohot

par aHad pey uskaa aana jaan meri le gayaa

[aHad =promise]

Ek adaa sey apna aanchal ungliyoun meiN baandhna

aur phir nazrein uthana jaan meri le gayaa

Jhoom kar angDaayi sey woh Faasloun ko toRna

aur achanak aazmana jaan meri le gayaa

ek jhi-jhak se soNchnaa ta-dair aur phir bad-azeeN

hich-kichahat se bulaana jaan meri le gayaa

[baad-azeeN =later on] [ta-dair= for a long time]

dekhlegaa koi humko aB to jaane do mujhey

uska yeh saada bahaana jaan meri le gayaa

ungliyoun sey apne merey baal suljHana, ke uff

aisaa apna-pan jataana jaan meri le gayaa

barsar-e-Mehfil kuch lamhey churaa kar baarha

unka woh nazreiN milaana jaan meri le gayaa

chaanW kar key zulf kee, apna ahd-e-ishq phir

zer-e-lab mujh ko sunana jaan meri le gayaa

[zer-e-lab = softly, whispering ahd= promise]

Merey hoNtoun sey Hayaa sey, Muskurakar aadatan

unka woh laali mitaana jaan meri le gayaa

Jaaney kya kardooN sitam mai wasl par ab ki dafa

sonchkar unkaa nahaana jaan meri le gayaa

[wasl= union, meeting]

un ghanerey gesuOun ki ghataa sey jhaanktaa

Chaand jaisa uskaa shaana jaan meri le gayaa

[shaana=shoulder]

woh rozaana hi guzarta tha gali se par sitam

bejhijhak hi woh rozaana jaan meri le gayaa

Gardish-e-ayyam meiN ek dhool ki chaadar taley

jab milaa ek khat puraana jaan meri le gayaa

[Gardish-e-ayyam=sorrows of daily life]

Yeh ghazal jab ~Rang~ ne usko sunaai shauq sey

baar baar uska lajaana jaan meri le gayaa

Wasiey nayey takhallus ka bhi ehtemaam kiya hai ~Rang~ aaindah kalaam isi takhallus sey likhoonga.