by hina » Sun Jun 16, 2002 12:30 am
Bhaimiya , Shahed Bhai, Kulcha bhai,Kabir bhai aur sabhi bhaiyon ko mera adaab . Aap sub ki mubarakbad ko mein nay tahay dil say qubool kiya . Ab main zara hyderabadi zabaan par aajati hoon.AAp logon ka bhoth bhoth shukriya , kyaa boloon samajh mein nai aaraa, Itti qushi ho ri kay aap sob meray ku itti izzath day rain kay din may dus baar is board ku padh riyoon .Bacchay meri hasi udarain kay \"ammi ku life nai hai\" bolkay ,Miya bolrain computer todh kay phaik detoan jab dekho tab computer pay baithay rehtay,Kaam dhanda nai hai tum ku,ek bana liyan naam apna \"hina \" katay.Kal bolay bacchon say zyaada tum baith rain , meray ku nazar rakhna padinga , bus yech chahtain kay din raat chullay kay paas maro yaa ghar kaa kaam karo , 20 saal America mein guzaar kay bhi woh thait hyderabadi dimagh nai jaa sakta , passport lay lainay say sahi bhi american thodi ho jaatay.....lol . Just kidding he is a nice husband .Waisay shahed bhai meray ku sahi sahi bolo aapku kaisi ladki chahiye ,khajabi ko bhi batana padinga na aqir meray ku !