Tuesday, 10 February 2026 »  Login
in

Talaash-e-gumshuda!

And for all those who believe Hyderabad is really south of the Musi and the rest is all bunkum, here's the capital of fullhyd.com!

Moderator: The Moderator Team

Talaash-e-gumshuda!

by hina » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Sabhi bhaiyon ko mera adaab,Kuch din say dekh rahi hoon kay aap log zara kum hi is board par aa rahay hain, qaas kar kulcha bhai.Ya shayed koi aur naam say jawaab day rahay hain .Shahed bhai kay surprise ka intezar hai,aqar aur kitna intezaar karwayengay aap? Bhaimiya as usual aap hi koi acchi topic shuru karein . Sub boards bekaar hain ,not much Hyderabadi style. Shayed aap log weekend mana rahay hain SA mein.
hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Bhirr Ustaad » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Salamalaikum Hina Aapa,

Mai yahan Board ki raunaq mein naya izaafa hoon.aapki sarparasti rahi to yahan kuch rang mai bhi jama letoun.aap logoun ke is khafiley mey daakhila merey sar pe aap ke shafaqqat ke haath ke baghair mushkil hai.<br>Kahir Koi Baat chalaiye ke baat se kuch baat chaley......waisey mai bhi aap ke ich muluk mein hoon. Koi acchi abcd shareef bacchi hai to boliye hamare dost ku zara status ka masla hogaya , pada likha MS baccha hai....yahan payamaat ka Aafis to bi shuru karo aap achha rehta...Kya khayaal hai ?
Bhirr Ustaad
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by khajabi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

aadab hina di, main bhi mahsoof kar\'raha hoon ke koi interesting board nahi bana kafee dinoun se. shayed isi liye kulcha bhai bi nazar nahi a\'rain. waise abi yeh nai bhirr ustaad namodaar howe hain board par. pehle keh rahe the ki main board par sub ki sarparasti kar\'ne a\'youn aur abi aap\'se dowa\'ain maang rahe hain.... daekhen kiya gul khilate hain...
khajabi
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Kulcha Hyderabadi » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Aadab Hina Didi – Shukriya, nawazish, karam…aap ne apne bhai ko yaad kiya. Kya bataoon ek haftey se flu ki girifth mein poora khandaan hai. Main to khair aaj rengtey, saraktey, dukaan par agaya hoon lekin apni poori team abhi beemar hai. Board ki browsing kar raha tha aur “Bhirr Ustaad” ki postings Mashallah wonderful. Bhai Bhirr, keep them coming….we really appreciate your postings and its real fun to have you here. Khajabi, tum kaiko Bhirr ustaad ke peechay pad gaye amma?? – Ek ki peeth na diya bolderoun main! Okie folks, will get back and yeah, lets think of a new board.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Shahed » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Hina di, Kulcha bhai aur doosre saathiyon...... kaan tou bhi gum gaaye they bhai aap logaan itte dinon se, accah huva ye talash-e-gumshuda hai bolke sob mil gaye, nai to kaan kaan bhatak na padta tha ki kya nai ki. Ye badi buree aadat hai yaaro aap sab logon ki board pe accha chalte chalte achaanak gum ho jaate, phir sab milke pukaara kare to HALLU nikal ke aate. Waise ab tak mera surprise aap logon ko mil gaya honga na. SamKulcha bhai mummy bata re they Hyderabad mein bahoot barishaan horain kate, idekho barsaat mein ghadi ghadi bahar nai nikalna, nikley tou bhi chatri watri leke , kaanon ku maflar lapatke , nikalna zukaam ho jaata .. agar ho gaya to saara din idhar udhar cheekaan maate phireinge..aur khakaar khakaar ke saara muhaala ganda karte phireinge ghar mein baitho sukoon se .....................Ek choti si baat Hina di, aur kulche bhai aur sabhee ke liye hai , ke is weekend pe aap logon ka ye chota bhai UMRE ke liye gaya tha, aur uske darbaar mein aap sab bhaaiyon aur behnon ke liye dil o jaan se duwaein maangi gayee...
Shahed
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Board key sab bahiyon aur Hina bahen ko Bhaimiya ka Salam. Allah sey duwa hey key Kulcha Bhai aur sab family members ko jald sey jald sahet aata karey (Aameen). Mein bhee sonch raha hoon key koyee naya interesting board laya jaya per sonch sonch key thak gaya hoon. Bhai ab Saudi mein kam karney waley bhudey hogaye hein, aapko sub ko ek Saudi ki baat maloom hongi, agar nahi to woh baat yeh key agar koyee Saudi mein 10 saal kam karey to uski umar 20 saal bad jatee hey, yahan tention bahut hota bhai aur sab sey bada tention Iqama pocket mein rakey phirney ka (agar kachra [garbage] phekney nikley to bhi Iqama rakkey nikalna pada, warna pakdey gaye to ek do din key liye andar). Ab Kulcha Bhai sey guzareesh hey key woh koyee accha aur interesting Board laye.
Bhaimiya
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Bhaimiya » Sat Jun 29, 2002 12:30 am

Hina Bahen: Aapki khawiesh pey Banda ek Board creat kiya hey jiska unwaan hey \"Bait Bazee\".
Bhaimiya
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by hina » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Welcome back to all my brothers !Bhaimiya thanks for the board but Meri urdu itni acchi nahin hai, lekin aap logon kay sher bahoth enjoy karti hoon and \"Hats Off\" to all of you . Bhirr Bhai to is board par zabardasth dhamakay kay saath aaye hain , \"Hearty Welcome\" to you. Shahed bhai aapka message moderator kay through mila ,aapko jald jawaab bhi milayga. Lekin shahed bhai mai samajh rahi thi kay surprise kuch aur hai, waisay duwaon may yaad rakhnay ka behad shukriya. Shaadi kay card ka intezar hai.Khajabi aapnay meray ku payamath ka daftar kholnay ko kaha hai ,lekin hamaray ghar walay zara qatarnak hain ,aur teen jayaz hain bolay to mai qud ka ghar ich barbaad karli waisy baath hai naa, is waastay meray ku maaf kardijiye! pehlaych bhoth parayshaniyaan hain meray ku ye nayi afath nakko bhai!
hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Hina » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Sorry for a little mistake . Bhirr bhai ki qwahish thi kay mein payamath ka daftar kholoon, aur mein samjhi khajabi,board phir say padhi to samajh mein aagaya, khajabi meray ku kaiku bolkay apna dhanday pay pani pheringay?
Hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Bhaimiya » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Hina Bahen: Aapki itela key liye mein bhee Urdu mein padel hoon, sirf pad sakta hoon (padna wesey bahut accha aatta hey), likhna nahi aata, Roman English mein lik leta hoon.
Bhaimiya
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by hina » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Shahed bhai aap baar-baar surprise bolkay bolrain the to mein intezar karri thi kay shaadi ki qushqabri aaingi bolkay, yeich baath meray zahen mein thi aur do din pehlay kyaa hua ghar pay koi phone aaya kay koi kaiser naam kay saheb NJ say hamaray shaher aaye hain aur unku halal restaurant ka pata hona tha. Becharay honeymoon kay liye aaye thay aur unki begum ku ghar ka khana khana tha katay! hamara phone number kahaan say mila hoonga yeh to tajub tha kyoon kay unlisted hai,qair mein unko aur unki naayi naveli dulhan ko apnay ghar bulali aur woh log aanay tayyar bhi ho gaye. Phone rakhnay kay baad qayaal aaya kahin yah shahed bhai to nahin hain apni doolan ko lekay ? kahin yeich surprise to nahin hai? aadha ghanta intezar aur bacchon ki doughts kay \"aap koi bi phone karay to ghar ku bulaleytey khana khaney aao bolkay, kon hai ki kyaa hai ki,hamaray shohar ko to koi etiraaz nai tha magar ghar jaldi aanay bhi tayyar nai they, gym ku nai gai tak kkana kaan say hazam hota unku!mein aur aami milkar khana banaye aur mein baar baar sonch ri thi yeh zaroor shahed bhaich nikaltey, ino mera aqer pata uthaich liye ,magar woh koi aur couple nilkley jo behad friendly aur acchay the aaisa nahin laga kay pehli baar milay hon! Unki shaadi do din pehlay hui thi husband was from puna and wife from delhi.Phir hamaray husband tashreef laye to mai boli aao milo ji unlogon say to bolnay lagay \" jaan na pehchaan qalamma salaam\" Behar haal shahed bhai ab shaadi ki shehnayiaan suna bhi dijiye!
hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by hina » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Same problem here too! kaash ammi baba Stanley kay bajay koi urdu school may padhatay ! I love urdu lekin likh nahin sakti!
hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Ehtram » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

daftar-e-paymath khud ek naya board ban sakta hai - jisko bhi apne details chapney hai woh ek proforma banaley jaise kay isam-navaisi hoti hai - aur apne apen lawaiqeen kay barey mein detials daal dein to khud ba khud yeh board chal niklay ga! ho sakta hai kisi to achey rishtay mil jayen - kya khayal - hina

fakht apka ehtram bhai
Ehtram
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Kulcha Hyderabadi » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Hina Didi and Bhaimiya, I hope you are teaching Urdu to your kids in order for them not to have \"regrets\" when they grow up.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Bhaimiya » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Kulcha bhai: Aapkey mashorey ka bahut bahut shukriya, Alhumdulliah bachey urdu seek rahey hein, wesey hamarey school key waqt hamari Ammi marhoom (Allah unhey Janat naseeb karey - Aameen) nasihat karkey thak gayee key urdu tumko padna aata hey zara likhna bhi seeklo, per apney kaan per joon nahi rengee aur aaj pashta rahey hein. Iseeliye kehtey hein key badon ki baat par amal karna chahiye.
Bhaimiya
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Shahed » Sun Jun 30, 2002 12:30 am

Sabhee ko mera Aadaab ! Hina - di bahoot khooob, mere is surprise se kam az kam 2 bhale logon ka faida tou ho hi gaya. Ye mehaz ek ittefaaq hai.. aur mai jaanta hoon ke aap un logon ko mai hoon samajh ke Zabardast Dishes pakaaye honge..Khoob khaatir daari kiye honge.... Aap Bahoot zyada excited the honge.. Aur na jaane kya kya sonche honge...Khair aap fikr na karein bahoot jald aap sab ki woh bhi kwahishaat poori ki jayengee jo aap logon nein ham se laga rakhee hai. Good news is on the way \'GOT YELLOW SIGNAL, WAITING FOR GREEN\'.....then Boooooooommmmmmm! Lekin ek baat tou tai hai ke hamein is Green Signal ke liye kuch mahine aur intezaar karna hoga. I mean rail ka pehla dabba agar nikal jaaye to doosra dabba mera hai...(lol) aap samajh gaye honge...Yeeeaap! \'Unke baare mein ab kya likhoon aap logon ko, bas dekh lijiye waqt aane par\'....Accha aap log ye bataaeeye ke kya aap sab meri shaadi mein aayeinge, daawat tou mai advance mein sabhee ko de chuka hoon. Bas dua kijiye apne chote bhai ke liye.
Shahed
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Hina » Mon Jul 01, 2002 12:30 am

Kulcha Bhai,meray bacchay ghar mein pakki Hyderabadi urdu \"jhaadtay\" magar unko padnaa-likhna nahi aata. Ammi kay rehnay say bahoth difference aaya hai, qaas kar meray chotay betay ki urdu mein. Yahaan par kahaan itna waqt aur sahoolath hai kay bacchon ko ek bilkul naya subject sikha sakoon ! Koshish zaroor karti hoon. Jab bhi hum Hyd. jaatay hain to wahaan sub meri betiyon ki urdu say bahoth qush hotay hain.Kal hi ki baath hai kay mein nay Meray betay say kaha kay tum English mein nahi urdu mein baath karo, uski thodi dair baad hi ammi nay us say poocha kay Fawwaz tum kis kay saath swimming ku jaa rain to fowrun jawaab mila \"mera baap hai na unkay sath jarown\", to yeh rahi yahaan ki urdu speaking aulaad !
Hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by hina » Mon Jul 01, 2002 12:30 am

Ehtram Bhai Adaab, Bahoth din baad aap board par nazar aaye.Kyaa aapki family wapas ho gayi hai ? Aap ka idea to accha hai lekin mera saath dainay kay liye agar bhabhi bhi hotin to mein zaroor aap sub ki qwahish poori karti.Well glad to see you back .
hina
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Kulcha Hyderabadi » Mon Jul 01, 2002 12:30 am

Dekhiyeh, aap khud bhi \"Swimming\" istemaal kiye, bajaye \"Tairne\" ke! - Good luck to you.
Kulcha Hyderabadi
Guest
 

Talaash-e-gumshuda!

by Ravi Rajan » Tue Jul 02, 2002 12:30 am

Hina Ji...
Badi kushi ho rahi hai aap bhai / bahen ka pyaar dekh kar. Allah isi tarah hum sab par apna rehem barqaraar rakhey (aamin) aur isi tarah hum sab aapas may bhai/bahen chaara banaye rakhain... bus itna sa kwaab hai... Accha lagtha hai jab koyi apno se baat karte hain tho... bahut accha lagtha hai jab kaas taur per apne watan se dhur ho tho ...
Ravi Rajan
Guest
 



Return to Dakhni-Mehfil - The Old World Hyderabad

Who is online

Users browsing this forum: No registered users and 1 guest

cron
ADVERTISEMENT
SHOUTBOX!
{{todo.name}}
{{todo.date}}
[
]
{{ todo.summary }}... expand »
{{ todo.text }} « collapse
First  |  Prev  |   1   2  3  {{current_page-1}}  {{current_page}}  {{current_page+1}}  {{last_page-2}}  {{last_page-1}}  {{last_page}}   |  Next  |  Last
{{todos[0].name}}

{{todos[0].text}}

ADVERTISEMENT
This page was tagged for
Gumsuda proforma
talash Gumshuda Meri ..sher
Gumshuda ka salam
talash gumshuda iqama
talash e gumshuda hyderabad
Follow fullhyd.com on
Copyright © 2023 LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. All rights reserved. fullhyd and fullhyderabad are registered trademarks of LRR Technologies (Hyderabad) Pvt Ltd. The textual, graphic, audio and audiovisual material in this site is protected by copyright law. You may not copy, distribute or use this material except as necessary for your personal, non-commercial use. Any trademarks are the properties of their respective owners.